Eggs are one of the only foods that contain naturally occurring vitamin B12 0.45, Vitamin B 6 (mg) 0.09, Calories (kcal) 72, Protein (g) 6.0. Egg is very benefit for health, good for the skin and growth. Here we discuses about egg mask for skin and how to use it in Urdu?
Egg Mask For Skin:
Chehray ki Khoobsurti kay liye anday ka istemaal mofeed hai.
Cosmetic therapy aur surgery is sciencesi dor mein ki ijaad hai is kay mainay hain aaraish jamal ki cheezon say ilaaj’ plastic surgery bhi isi ki aik shaakh hai qudrati tor par har aurat ki tamannna hoti hai keh is kay jsim kay har hissay mein phool ki molaimat tazgi aur mehak hameshah bar qarar rahay. Qudrat nay khood bhi apni taraf say aurat ko husn-o-jamal ka aik namoonah bana kar pesh kia hai is kay jism ki jazbiyat ki hadein biyan say bahir hain. Lekin is kay bawajood is kay jism ko nikhar nay kay liye sadyon pehlay bhi sajawat banwat kay la taadad andaz apnaye gaye thay aur aaj bhi ziadah say ziadah towajjah aur bay shumar tabdiliyon kay sath apnaye ja rahay hain.
Aaj kay dor mein aurat kay khoobsurat aur nazuk jism ko char chand laganay kay liye is qudar jazib nazar aur hirat angaiz ashya aur isqadr dilchasp aur khush kun tariqay ejaad ho chukay hain keh banawat-o-sajawat walay jism par nazar phisal phisal jati hai. Cosmetic surgery kay mehaz operation nahi jaded make up egg make up hai.
Aur dor-e-jadeed kay make up mein cheray ki dilkashi-o-dilfarebi aur sar kay balon ki chamak-o-damak mein anday ko aik numayan moqaam hasil hai is silsilay mein cheray aur baalon kay mokhtalif jamalyati masail kay hal kay motaddid formulay pesh kiye jatay hain jin mein anda aik numayan kirdar ada karta hai.
• Jhaiyan aur jhaiyan cheray par vitamin B aur iron ki kami ki wajah say namoodar hoti hai. In kay liye fruit khana aur doodh(milk) pina bara mofeed hai. Egg khana mofeed hai.
• Haftay mein aik bar bleaching cream cheray par lagayein. Aur anday ki sufaidi mein lemon juice mila mask lagayein.
Tarkeeb:
Aik anday ki sufaidi ko chini ki gol gehri plate ya cup lay mein daal kar khoob pheitain jab is mein achi tarah jhaag uth aaye to aadhay lemon ka ras is mein nichorein ab phir donon cheezon ko pheitain mask taiyar hai.
Egg Mask Use:
Yeh mask chehray(face) par lagayein aur das minute tak chehray par laga rehnay dein. Is kay baad neem garam pani say cherah dho dalein. Is kay baad jild par arq gulaab mein pisa hua kafoor mila kar lagayein.
• Cheray ki chaiyon kay liye Elizabeth Arden ka taiyar kar dah anday ka Ardena mask bara mofeed hai yeh mask tube ki surat mein milta hai.
• Mask ko istemaal karnay ka tariqah yeh hai keh mask hameshah ghusal karnay say pehlay lein takeh jab aap mask kay baad ghusal kar kay nik lein to aap ka jism aur cherah dodon tar-o-taza hon. Mask lenay say das minute pehlay chehray par doodh lagayein. Das minute kay baad cotton kay phahe ko neem garam pani mein bhigo kar is say chehray ko saaf karein ab towel ya tissue paper say chehrah khusk kar lein. Aur mirror kay samnay mask ko apnay chehray kay tamam hisson par lagayein.
• Mask laganay say pehlay apnay baalon ko lapaitna na bhulain mask ko garden par bhi lagayein.
• Mask laganay kay baad ankhein band kar kay 20 minute kay liye lait jayein ya easy chair par neem daraz ho kar halki phulki cheez magazine ya book parain lekin aasab par bojh na dalein.
Mask Utarnay ka Tarika:
• Aap nay mask kay tor par anday ki sufaidi aur lemon kay ras ka jo mawad chehray par lagaya tha woh 10 ya 20 minute tak khusk ho jaye ga.
• Ab cotton kay aik baray say phahay ko neem garam pani say bhigo kar garden ar cehray say mask ko achi tarah saaf kar lein phir cherah khulay pani say dhoyein aur towel say khushk kar lein. Ab chehray par sikan tonic lagayein.
• Cherah neem garm pani say dhonay kay baad tazah pani say chehray par chintay marna bhi mofeed hai magar mask utarnay kay baad buhat ziadah thanda pani istemaal na karein.
• Mask utarnay kay baad make up nahi karna chahiye mask utarnay kay kam az kam do ghantay baad tak foundation powder say parhaiz karna chahiye.
• Woh mawad jo chehray ki khubsurti aur cheray ki mukhtalif khamyan door karnay kay liye cheray par laga ya jata hai mask kehlata hai. Anday ki zardi (Egg white) mofeed hai, milk, olive oil, badam kheeray ka ras, grapes juice, sangtaray ka ras, carrot juice, honey, aam tor par mask kay tor par istemaal kia jata hai.
No comments:
Post a Comment