Jis tarah insan ke lye achi shakal o surat aur rang o roop zaroori hai bilkul isi tarah ghane aur khubsurat bal bhe zaroori sarmaya hain. Khasusan khwateen ko apny balon se be had piyar hota hai. Yeh bilkul theak hai k khwateen apny balo ki khubsurati ke lye hazar han jatan karti hain. Aur na jany kitny he nuskhy aur totkey istemal karti hain. Jin main kuch kar amad sabit hoty hai, aur kuch nahi kuen ke inko yeh ilm he nahi hota ke mukhtalif noyat ke chemicals aur hair dye jo ke sampoo or bal dhony ke ajza main shamil hoty hain in ka istemal kia hai. Balo ko khubsurat aur dilkasht banay ke chakar main aksar khwateen nuqsan uthati hai, khasusan woh jin ke bal be ronaq aur chamak se aari hoty hain.
Bazar main mujud mukhtalif qisam ke shampoo istemal karny ke bad jab inko hair dryer se dry kia jata hai tau in main waqte tor pe chamak ajati hai. Aur who kuch der ke lye bhaly lagty hain lakin waqt ke sat yeh bat waziya ho jati hai, ke yeh ashiya waqti tor pe kar amad hoty hain lakin taweel mudat main nuqsan pohansha rahy hoty hai. Waqt ke sat sat yeh tamam ashia mahangy hoty ja rahy hain kuen ke in main zeyada advance chemicals shamil kye jaty hain jo balo ko zeyada khubsurati dety hai, lakin in he ki waja se aj kal balo main be ronaqi aur kkhushki peeda ho rahi hai aur zeyada jhar rahi hain. Jab ke achay balo ke lye ak achi sehat ka bhe buhat zaroori hai, jo sirf mutawazun gheza kahny se he milti hai. Aur in ke sat saafae suthrae be inko sehat mand aur chamakdar banaty hain.
Buhat se logo ka khayal hai k tail laga k rakhny se balo ko musam ki sakhti se bachaya ja sakta hai lakin yeh tasawur builkul ghalt hai kuen ke balo main her waqt tail laga rahny se in main dhol aur methi beth jati hai jis ke wajah se bal badnumah lagty hai, aur mathi jama honay se khushki peeda ho jati hai.
Lakin iska matlab yeh bilkul nahi ke tale nahi lagana chahye balky tail lagana buhat zaroori hai balo ke lye. Tail se sar ka massage buhat acha hota hai is se khun ki gardish bhar jati hai jo balo ke nashunuma ke lye buhat zaroori hai. Tail ke massage ke bad tolia pani main bhegonay ke bad achi tarah nechor lye aur sar pe achi tarah lepate layn. Is tarah ap ke bal gard se mahfooz rahy gay aur tail be masaam main achi tarah jazab ho jae ga. Aghar din main kuch masrofiat ki waja se asa mumkin na ho tau rat ko soty waqt tail ka massage karny ke bad subha uth ke kisi meyari shampoo se dho lye.
Balo ko gangi aur brush karny se sar se khsuhki ke zarat aur kamzor bal jhar jaty hain and duranya khun main be izafa hota hai jin se balo ki jaro ko taqweyat milti hai. Safae ke saat saat balo ko qudatri ashiya se be faida pohanchana chahye.
No comments:
Post a Comment